Saturday, December 26, 2009

USKE KARAM USKE DHARAM


Udasi Bhi hai,nahi hai Shor
Uske hath me hai hum sabki dor

Vo chahe to ho mela,
Vo chahe to rahe Akela

Gamon me Bhi chalna hai
Rukna nahi badte hi jaana hai

Aaj jo hai vo kal nahi
Aaj jo galat hai, kal hai sahi

Har waqt hain uski Meharbaniyan
Karta hai maaf wo har galtiyan

Kal ka badsah aaj hai rank
Kal ke chor ka aaj mit-ta kalank

Ek phool hai devta ke charan par arpan,
Kal doosre se sobhit honge uske charan

Har marzi uske,ho raat ya din
Kuch nahi pa sakte hum uski marzi ke bin

Har din har pal karke usko yaad
Karen hum apna jahan aabad.

POOJA KA PHOOL









Maine Phool se Kaha,Tu Bada hi Payara hai,
Phool ne Kaha Yah To joth Tumhara hai....
Hota payaara To payar se Sahlate Tum,
Lekin mujhe meri jagah se na hataate Tum
Maine Kaha ki Khud se hatkar hi kisi ke kam aaoge
achchi kismat hui to Khuda ke charno main jaaoge
Khawaayish yahi h ki na banu raaste ki dhool,
Hamesha banke rahun POOJA KA PHOOL.










Zindgi Ki raahon me aise mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar main Moti Bhi Mil jaate Hain
Jo Unhe Doond lete hain Wahi Zindgi Jee lete Hain.
Hare Krishana!!