Saturday, December 26, 2009
USKE KARAM USKE DHARAM
Udasi Bhi hai,nahi hai Shor
Uske hath me hai hum sabki dor
Vo chahe to ho mela,
Vo chahe to rahe Akela
Gamon me Bhi chalna hai
Rukna nahi badte hi jaana hai
Aaj jo hai vo kal nahi
Aaj jo galat hai, kal hai sahi
Har waqt hain uski Meharbaniyan
Karta hai maaf wo har galtiyan
Kal ka badsah aaj hai rank
Kal ke chor ka aaj mit-ta kalank
Ek phool hai devta ke charan par arpan,
Kal doosre se sobhit honge uske charan
Har marzi uske,ho raat ya din
Kuch nahi pa sakte hum uski marzi ke bin
Har din har pal karke usko yaad
Karen hum apna jahan aabad.
POOJA KA PHOOL
Maine Phool se Kaha,Tu Bada hi Payara hai,
Phool ne Kaha Yah To joth Tumhara hai....
Hota payaara To payar se Sahlate Tum,
Lekin mujhe meri jagah se na hataate Tum
Maine Kaha ki Khud se hatkar hi kisi ke kam aaoge
achchi kismat hui to Khuda ke charno main jaaoge
Khawaayish yahi h ki na banu raaste ki dhool,
Hamesha banke rahun POOJA KA PHOOL.
Monday, November 30, 2009
God is great artist
Subscribe to:
Posts (Atom)